Suvichar........soch ker socho sath kya laye thei,sath kya le ker Jana h,yhin se liya h,yhin dena h,phir achha hi dene ki kosish kyun na krein.achhi soch se ham prabhavit hon,achha h,per hmari soch ka remote kisi or ke hathon me ho,ye galat h,chahe WO hmara kitna hi Aziz kyun na ho.soch se karm,karm se prinam nirdharit hote hein,ager ham apne vivek or apne dil se soch hi nhi sakte,to phir kaisa loktantr?apni prathmiktaon ke bare me hme khud sochna h,kyunki her vyakti visesh h,shi samay per shi soch ker shi karm kerna bahut zruri h,samay beetne ke baad sochne se kuch nhi hota,zra sochiye